Tuesday 10 April 2012

farhan saeed pi jaun:

Monday 9 April 2012

tum yaad nahin aatey
tum..tum mujhe kaisay yaad a saktay ho???
kiyuon key yaad to woh aatay hain jinhein insaan bhool jata hai ya woh yaad aatay hain jo insaan sey dor hotay hain
laqin tum..
tum na mujhe se kabhi dor hoey ho na kabhi tum mujhe bhoolay ho
tum to har waqt meray pass hotay ho
khud hi batao tum mujhe kaisay yaad ayo gay??????

khabhi warq paltoooo

kabhi warq palto jo zaat k
to hain beshumaar kahanian
pinha anginat nadania
kabhi warq palto jo zaat k
hoon gi us main bhi tanhaiyan
hoon gi us main bhi ruswaiyan
kabhi warq palto jo zaat k
hoon ge gumsum us main raaz kai
hoon ge gumsum us main khial kai
kabhi warq palto jo zaat k
milen ge us main tum ko naam bhi
aur kirdaar-e-zeest gumnaam bhi
kabhi warq palto jo zaat k
per na mill sake ga kabhi sakoon
aur na mill sake ga kabhi qaraar
k hai is se khaali her zaat-e-jaan
k hai is se khaali her dil dwaar
kabhi warq palto jo zaat k
kabhi warq palto..................

Saturday 7 April 2012

muhabbat na kerna

MOHABBAT NA KERO

"LOGON NE MUJH SE KAHA
MOHABBAT NA KERO
TO KIA JEENA CHOR DO?
MOHABBAT NA KERO
TO KIA SANS LENA CHOR DO?
MOHABBAT NA KERO
TO KIA SANE DEKHNA CHOR DO?
MOHABBAT NA KERO
TO KIA KHUDA PER YAQEEN CHOR DO?
MOHABBAT NA KERO
TO KIA BAHARON KI AAS CHOR DO?
MOHABBAT NA KERO
TO KIA AITBAR KA RISHTA TOR DO????

zindage ki kitaab

Ye jo zindagi ki kitaab hai ye kitaab bhi kya kitaab hai .. Kaheen ik haseen saa Khuwaab hai Kaheen jaan-levaa azaab hai Kaheen chhaaon hai kaheen dhoop hai, Kaheen aur hi koi roop hai kayee chehre is mein chupe huwe, Ik ajeeb sa ye naqaab hai Kaheen kho diya kaheen paa liya Kaheen ro liya ... Kaheen gaa liyaa Kaheen cheen leti hai her Khushii Kahin meharbaan behisaab hai Kaheen aansoun ki hai dastaan Kaheen muskurahaton kaa bayaan Kaheen barkaton ki hai baarishen Kaheen tishnagii behisaab hai

log baldal ker chehroon ko

Log Badal Kar Chehron Ko Saamne Aane Lage
Jo Haqaaiq The Kabhi Woh Aaj Fasane Lage

Woh Jo Ache Waqt Main Milte The Rozana Humain
Aaj Rasta Kaat Kar Hum Se Guzar Jane Lage

Jab Kabhi Tazeen-E-Gulshan Ka Humain Aaya Khayaal
Aandhiyaan Chalne Lageen Aur Zalzale Aane Lage

Ab Baharein Bhi Khizaaon Ki Tarah Aane Lageen
Mausm-E-Gul Main Bhi Ab To Phool Murjhane Lage

Jin Ki Khatir Hum Ne Duniya Bhar Ki Baaton Ko Saha
Ek Zara C Baat Per Woh Rooth Kar Jane Lage

zalim dunia

is zulam duniya say dosti karna nahi pari
katal karnay kay bad poochtiee hai dard tu nahi huwa